Friday, November 11, 2011

Letter to Employee (Bhagavad Gita Style)


Post Appraisal . . . . . . .

This is what Bhagwan Shri Krishna wants to tell you .

Hey Parth (Employee),

Incentive nahi mila, Bura Hua,
salary cut rahi hai, Bura Hua,
Extra shift hogi, woh bhi buri hogi.

Tum pichhla incentive na milne ka paschatap na karo,
Tum agle incentive ki chinta na karo,
Bus apni salary main santusht raho....

Tumhari pocket se kya
gaya, jo rote ho?
Jo aaya tha sab yahee se aaya.
Tum jab nahi the, tab bhi company chal rahi thee
Tum jab nahi hoge, tab bhi chalegee.

Tum koi experience leker nahi aaye the..
Jo experience mila yahi mila...
Jo support diya company ke liye...
Degree leker aaye the, experience leker chalo.

Jo system aaj tumhara hai...
Woh kal kisi aur ka tha....
Kal kisi aur ka or parso kisi aur ka hoga..
Tum ise apna samajh kar kyo magan ho rahe ho..
Yahi khushi tumhari tension kaa kaaran hai.

"Kyo vyarth chinta karte ho, kisse vyarth darte ho,
Kaun tumhe nikaal sakta hai......"

Policy change company ka rule hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...