Friday, November 11, 2011

Letter to Employee (Bhagavad Gita Style)


Post Appraisal . . . . . . .

This is what Bhagwan Shri Krishna wants to tell you .

Hey Parth (Employee),

Incentive nahi mila, Bura Hua,
salary cut rahi hai, Bura Hua,
Extra shift hogi, woh bhi buri hogi.

Tum pichhla incentive na milne ka paschatap na karo,
Tum agle incentive ki chinta na karo,
Bus apni salary main santusht raho....

Tumhari pocket se kya
gaya, jo rote ho?
Jo aaya tha sab yahee se aaya.
Tum jab nahi the, tab bhi company chal rahi thee
Tum jab nahi hoge, tab bhi chalegee.

Tum koi experience leker nahi aaye the..
Jo experience mila yahi mila...
Jo support diya company ke liye...
Degree leker aaye the, experience leker chalo.

Jo system aaj tumhara hai...
Woh kal kisi aur ka tha....
Kal kisi aur ka or parso kisi aur ka hoga..
Tum ise apna samajh kar kyo magan ho rahe ho..
Yahi khushi tumhari tension kaa kaaran hai.

"Kyo vyarth chinta karte ho, kisse vyarth darte ho,
Kaun tumhe nikaal sakta hai......"

Policy change company ka rule hai.

Engineer Kohn Hai



Engineer Woh Hai Jo Aksar Phasta Hai
Interviews Ke Sawaal Me
Badi Companiyon Ki Chaal Me
Boss Aur Client Ke Bawaal Me

Engineer Woh Hai Jo Pak Gaya Hai
Meetings Ki Jhelai Me
Submissions Ki Gehrai Me
Teamwork Ki Chatai Me

Engineer Woh Hai Jo Laga Rahta Hai
Schedule Ko Failane Me
Targets Ko Khiskaane Me
Roz Naye-Naye Bahane Me

Engineer Woh Hai Jo
Lunch Time Mae Breakfast Karta Hai
Dinner Time Mae Lunch Karta Hai
Commutation Ke Waqt Soya Karta Hai

Engineer Woh Hai Jo Pagal Hai
Chai Aur Samose Ke Pyar Me
Cigeratte Ke Khumar Me
Birdwatching Ke Vichar Me

Engineer Woh Hai Jo Khoya Hai
Reminders Ke Jawaab Me
Na Milne Wale Hisaab Me
Behtar Bhavishya Ke Khwaab Me

Engineer Woh Hai Jise Intezaar Hai
Weekend Night Manane Ka
Boss Ke Chhutti Jaane Ka
Increment Ki Khabar Aane Ka ??????
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...